Duriyan SimaTne Mein Der Kuchh To Lagti Hai
duriyan simaTne mein der kuchh to lagti hai
ranjishon ke miTne mein der kuchh to lagti hai
hijr ke dorahe par ek pal na Thahra wo
raste badalne mein der kuchh to lagti hai
aankh se na haTna tum aankh ke jhapakne tak
aankh ke jhapakne mein der kuchh to lagti hai
hadisa bhi hone mein waqt kuchh to leta hai
baKHt ke bigaDne mein der kuchh to lagti hai
KHushk bhi na ho pai raushnai harfon ki
jaan-e-man mukarne mein der kuchh to lagti hai
fard ki nahin hai ye baat hai qabile ki
gir ke phir sambhalne mein der kuchh to lagti hai
dard ki kahani ko ishq ke fasane ko
dastan banne mein der kuchh to lagti hai
dastaken bhi dene par dar agar na khulta ho
siDhiyan utarne mein der kuchh to lagti hai
KHwahishen parindon se lakh milti-julti hon
dost par nikalne mein der kuchh to lagti hai
umr-bhar ki mohlat to waqt hai taaruf ka
zindagi samajhne mein der kuchh to lagti hai
rang yun to hote hain baadalon ke andar hi
par dhanak ke banne mein der kuchh to lagti hai
un ki aur phulon ki ek si ridaen hain
titliyan pakaDne mein der kuchh to lagti hai
zalzale ki surat mein ishq war karta hai
sochne samajhne mein der kuchh to lagti hai
bhiD waqt leti hai rahnuma parakhne mein
karwan banne mein der kuchh to lagti hai
ho chaman ke phulon ka ya kisi pari-wash ka
husn ke sanwarne mein der kuchh to lagti hai
mustaqil nahin 'amjad' ye dhuan muqaddar ka
lakDiyan sulagne mein der kuchh to lagti hai
(1485) Peoples Rate This