Dar-e-kaenat Jo Wa Kare Usi Aagahi Ki Talash Hai
dar-e-kaenat jo wa kare usi aagahi ki talash hai
mujhe raushni ki talash thi mujhe raushni ki talash hai
gham-e-zindagi ke fishaar mein teri aarzu ke ghubar mein
isi be-hisi ke hisar mein mujhe zindagi ki talash hai
ye jo sarsari si nashat hai ye to chand lamhon ki baat hai
meri ruh tak jo utar sake mujhe us KHushi ki talash hai
ye jo aag si hai dabi dabi nahin dosto mere kaam ki
wo jo ek aan mein phunk de usi shoalagi ki talash hai
ye jo saKHta se hain qahqahe mere dil ko lagte hain bojh se
wo jo apne aap mein mast ho mujhe us hansi ki talash hai
ye jo mel-jol ki baat hai ye jo majlisi si hayat hai
mujhe is se koi gharaz nahin mujhe dosti ki talash hai
(1942) Peoples Rate This