Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_37af2842a297ae2cbc9dc3f81ef19ee1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Band Tha Darwaza Bhi Aur Agar Mein Bhi Tanha Tha Main - Amjad Islam Amjad Poetry In English - Darsaal

Band Tha Darwaza Bhi Aur Agar Mein Bhi Tanha Tha Main

band tha darwaza bhi aur agar mein bhi tanha tha main

wahm tha jaane mera ya aap hi bola tha mein

yaad hai ab tak mujhe wo bad-hawasi ka saman

tere pahle KHat ko ghanTon chumta rahta tha main

raston par tirgi ki ye farawani na thi

is se pahle bhi tumhaare shahr mein aaya tha main

meri ungli par hain ab tak mere danton ke nishan

KHwab hi lagta hai phir bhi jis jagah baiTha tha main

aaj 'amjad' wahm hai mere liye jis ka wajud

kal usi ka hath thame ghumta phirta tha main

(948) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Band Tha Darwaza Bhi Aur Agar Mein Bhi Tanha Tha Main In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Band Tha Darwaza Bhi Aur Agar Mein Bhi Tanha Tha Main is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Band Tha Darwaza Bhi Aur Agar Mein Bhi Tanha Tha Main for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Band Tha Darwaza Bhi Aur Agar Mein Bhi Tanha Tha Main in PDF.