Aainon Mein Aks Na Hon To Hairat Rahti Hai
aainon mein aks na hon to hairat rahti hai
jaise KHali aankhon mein bhi wahshat rahti hai
har dam duniya ke hangame ghere rakhte the
jab se tere dhyan lage hain fursat rahti hai
karni hai to khul ke karo inkar-e-wafa ki baat
baat adhuri rah jae to hasrat rahti hai
shahr-e-suKHan mein aisa kuchh kar izzat ban jae
sab kuchh miTTi ho jata hai izzat rahti hai
bante bante Dhah jati hai dil ki har tamir
KHwahish ke bahrup mein shayad qismat rahti hai
sae larazte rahte hain shahron ki galiyon mein
rahte the insan jahan ab dahshat rahti hai
mausam koi KHushbu le kar aate jate hain
kya kya hum ko raat gae tak wahshat rahti hai
dhyan mein mela sa lagta hai biti yaadon ka
aksar us ke gham se dil ki sohbat rahti hai
phulon ki taKHti par jaise rangon ki tahrir
lauh-e-suKHan par aise 'amjad' shohrat rahti hai
(951) Peoples Rate This