Suraj Ki Pahli Kiran
sun ai hawa-e-be-dili
abhi to chashm-e-tar mein un ki suraten
rawan-dawan hain jin ke sans ki mahak
mein ja chuki bahaar ka nikhaar hai
ki jin ke KHwab ki chamak palak palak
bikharti aarzu mein paedar hai
abhi to un ki KHak ko zamin bhi nahin mili
sun ai hawa-e-be-dili
agarche is dayar mein har-ek-su
kai ruton ki gum-shuda bahaar ka fishaar hai
ghubar-e-intizar hai
magar ye zard ghaTiyan ye karwan-e-be-nishan
safar ki intiha nahin
dhuan dhuan hain jism-o-jaan magar zaban hai gul-fishan
ki dil abhi mera nahin
nazar mein hai wo fasl-e-gul jo ab talak nahin khili
sun ai hawa-e-be-dili
hamein usi zamin se rifaqat-e-yaqin hai
milegi kisht-e-arzu
ki raushni ki justuju mein raushni ka raaz hai
hamare ird-gird ki har ek shai sawal hai
un ungliyon ki por por sahab-e-kamal hai
alwidaa alwidaa ai be-dili
ki ye hamari dosti ka nuqta-e-zawal hai
(3354) Peoples Rate This