Taj-mahal
hai kinare ye jamuna ke ek shahkar
dekhna chandni mein tum is ki bahaar
yaad-e-mumtaz mein ye banaya gaya
sang-e-marmar se is ko tarasha gaya
shahjahan ne banaya baDe shauq se
barson is ko sajaya baDe shauq se
han ye bhaarat ke mahallat ka taj hai
sab ke dil pe isi ka sada raj hai
is ki kari-gari hai baDi be-misal
waqai hai zamana mein ye la-zawal
ek shaffaf aaina samjhun na kyun
is ko nargis ka gul-dasta kyun na kahun
kya miTaega naqsh is ke kaise koi
taj 'hafiz'-ji kyun kar banae koi
(1257) Peoples Rate This