Paude
nazar ko lubhate hain paudon ke manzar
hasin aur nazuk hain phulon ke paikar
samar un ke bante hain sab ki ghizaen
ye bante hain bimariyon ki dawaen
hamein milti hai paudon se oxigen
ugao inhen dosto aangan aangan
har ek pauda KHarij kare aabi zarre
tanaffus mein ye carbon jazb kar le
hasin aur dilkash hai paudon ki duniya
karo roz bachcho tum in ka nazara
inhin se hai qariyon mein logon ko rahat
ki paudon se shahron ki baDhti hai zinat
ye baat aaj 'hafiz' ki ai bachcho mano
ki maktab ke aangan mein paude ugao
(1241) Peoples Rate This