Parinde
daraKHton pe har dam chahakte parinde
lubhate hain bachcho rangile parinde
hain dilkash wo rangin chiDiyon ki Daren
dikhati hain pat-jhaD mein bhi ye bahaaren
jhapaTti hain murdar par KHud hi chilen
suhani hain baglon ki halchal si jhilen
hai laqwe se karta kabutar hifazat
hai titar se aati ragon mein hararat
zarurat pe karte hain naql-e-makani
ye aadat parindon ki hai ek purani
ghiza mil ke khate hain kawwe bhi dekho
sabaq ekta ka parindon se sikho
tum is raaz ko aaj 'hafiz' se jaano
parinde ghiza bhi dawa bhi hain bachcho
(1135) Peoples Rate This