Teri Taswiron Ko Dekh Pighalti Hain
teri taswiron ko dekh pighalti hain
ab ye aankhen hum se nahin sambhalti hain
har din chehra alag tarah ka hota hai
gham ki shaklen bhi to rose badalti hain
in KHwabon ka sach hona kya mumkin hai
jin ke KHatir aankhen meri jalti hain
jaane kis ka lahja us par hawi hai
us ki baaten ab angar ugalti hain
dil ke qabristan ka yaron kya kahna
lashen bas jazbaat ki is mein palti hain
jab tak hun main zinda milne aa jao
lamha lamha sansen rose nikalti hain
ummidon ka suraj rose nikalta hai
sham ke jaisi 'mit' umiden Dhalti hain
(847) Peoples Rate This