Sach Kahne Ka AaKHir Ye Anjam Hua
sach kahne ka aaKHir ye anjam hua
sari basti mein main hi badnam hua
qatl ka mujrim rishwat de kar chhuT gaya
qismat dekho mere sar ilzam hua
mere gham par wo aksar hans deta hai
ye to gham ka ghair munasib dam hua
zaKHm yahan to waise ka waisa hi hai
tum batlao tum ko kuchh aaram hua
tanhai ne jab se qaid kiya mujh ko
bahar aane mein tab se nakaam hua
rose masail ghere hain mujh ko to ab
soch raha hun gardish-e-ayyam hua
aKHbaron mein KHud ko paDhte sochun hun
'mit' yahan par mera bhi kuchh nam hua
(859) Peoples Rate This