Qismat Apni Aisi Kachchi Nikli Hai
qismat apni aisi kachchi nikli hai
har mahfil se bas tanhai nikli hai
KHat us ke jab aaj jalane baiTha to
machis ki tili bhi sili nikli hai
shor-sharaba rahta tha jis aangan mein
aaj wahan se bas KHamoshi nikli hai
bhuka bachcha dekha to in aankhon se
aansu ki phir ek nadi si nikli hai
apni surat ki parten jab kholin to
apni surat us ke jaisi nikli hai
teri rahmat ko main ne bhi dekha hai
tufanon se bach ke kashti nikli hai
dil TuTa to 'mit' samajh mein ye aaya
ishq wafa sab ek paheli nikli hai
(959) Peoples Rate This