Nazar Bhar Ke Yun Jo Mujhe Dekhta Hai
nazar bhar ke yun jo mujhe dekhta hai
bata bhi de mujh ko ki kya sochta hai
mohabbat nahin jaise kya kar liya ho
zamana mujhe is qadar Tokta hai
december ki sardi hai us ke hi jaisi
zara sa jo chhu le badan kanpta hai
lagaya hai dil bhi to patthar se main ne
meri zindagi ki yahi ek KHata hai
jise dekh ke gham bhi rasta badal de
wo chehra na jaane kahan lapata hai
koi baat dil mein yaqinan hi hai jo
wo milte hue ghaur se dekhta hai
usi ki gali ka koi ek laDka
mohabbat ka mujh se hunar puchhta hai
na DhunDho kahin bhi milunga yahin pe
ye ujDi haweli hi mera pata hai
ki ab 'mit' ko farq paDta nahin hai
koi us ke bare mein kya sochta hai
(921) Peoples Rate This