Mazi Ke Jab ZaKHm Ubharne Lagte Hain
mazi ke jab zaKHm ubharne lagte hain
aankhon se jazbaat bikharne lagte hain
zehn mein yaaden jab bhi us ki aati hain
lafz shararat KHud hi karne lagte hain
kar ke yaad tere mathe ka bosa hum
ungli ab honThon pe dharne lagte hain
teri main taswir kabhi jo dekhun to
mere din aur raat Thaharne lagte hain
bin tere sanson ki haalat mat puchho
ghuT ghuT kar rozana marne lagte hain
hum par andhere kuchh aise to hawi hain
hum KHud ke sae se Darne lagte hain
'mit' kahani ulfat ki jab paDhta hun
aankhon se kirdar guzarne lagte hain
(741) Peoples Rate This