Duniya Ko Jab Nazdiki Se Dekha Hai
duniya ko jab nazdiki se dekha hai
tab samjha ye sab kuchh khel-tamasha hai
hathon ki do-chaar lakiren paDh kar ke
wo kahta hai aage sab kuchh achchha hai
us se pahli bar mila par hairan hun
dil mein tab se ghar kar ke wo baiTha hai
kaghaz par dil ki taswir bana kar ke
us ne puchha ye kis shai ka naqsha hai
soch raha hun main us ka sauda kar dun
us ki yaadon ka jo dil mein malba hai
donon pahlu mein hi haar chhipi is mein
mere hathon mein ab ye jo sikka hai
is KHatir main rose mashaqqat karta hun
aasani se kya hasil ho pata hai
jab qudrat ne thoDa aaj nawaza to
sare mujh se puchhe hain tu kaisa hai
'mit' yahan apne to nam ke apne hain
an-jaanon se rishta dil ka gahra hai
(832) Peoples Rate This