Apni Aankhon Ko Kabhi Thik Se Dhoya Hi Nahin
apni aankhon ko kabhi Thik se dhoya hi nahin
sach kahun aaj talak khul ke main roya hi nahin
mere lafzon se mera dard jhalak jata hai
jabki is dard ko aawaz mein boya hi nahin
ek dafa nind mein KHwabon ka janaza dekha
baad us ke main kabhi chain se soya hi nahin
tang galiyon mein mohabbat ki bhaTakte hain sab
main ne koshish to kai bar ki khoya hi nahin
sans ruk jae taDapte hue yaadon mein kahin
hijr ka bojh kabhi dil pe yun Dhoya hi nahin
main kahani mein naya moD bhi la sakta tha
main ne kirdar ko aansu mein bhigoya hi nahin
marne ke yun kai danw chale us ne par
'mit' ko ishq ke daldal mein Duboya hi nahin
(1632) Peoples Rate This