Karo Na Der Jahan Mein Jahan Se Aage Chalo

karo na der jahan mein jahan se aage chalo

yahan guman-e-KHatar hai qadam baDhae chalo

yahan fareb-e-nsheb-o-faraaz aksar hai

KHuda ke waste itna na munh uThae chalo

shikasta-pa hun kahin sath se na rah jaun

mujhe bhi hath zara dosto lagae chalo

abhi to husn-e-amal ka zamana baqi hai

wahan ki bigDi hui kuchh yahin banae chalo

idhar-udhar kahin bhar kar tarara ja na paDe

samand-e-umr-e-rawan ko zara dabae chalo

adam mein tarsoge dard-e-jigar ko ai 'taslim'

jo ho sake koi sine pe tir khae chalo

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karo Na Der Jahan Mein Jahan Se Aage Chalo In English By Famous Poet Amirullah Tasleem. Karo Na Der Jahan Mein Jahan Se Aage Chalo is written by Amirullah Tasleem. Read famous Poem Karo Na Der Jahan Mein Jahan Se Aage Chalo for youth and Student by Amirullah Tasleem. Free Download Karo Na Der Jahan Mein Jahan Se Aage Chalo in PDF.