Kahne Sunne Se Meri Unki Adawat Ho Gai
kahne sunne se meri un ki adawat ho gai
jo na honi thi wo ghairon ki badaulat ho gai
rose aati hai magar ek rose bhi aati nahin
ai ajal tu bhi mere haq mein qayamat ho gai
mere un ke ab kahan pahla tapak-e-ashiqi
chalte phirte mil gae sahab-salamat ho gai
samjhe the dasht-e-junun mein kuchh bahal jaega dil
dekh kar sunsan jangal duni wahshat ho gai
shakl dikhlati nahin shishe se aa ke jam mein
duKHtar-e-raz tu to abhi se be-murawwat ho gai
marg-e-ashiq ka abas hai sog har dam is qadar
chhuT gaya wo qaid-e-gham se tum ko fursat ho gai
fasl-e-gul aai baDhe josh-e-junun ke walwale
phir wahi 'taslim' apni ghair haalat ho gai
(894) Peoples Rate This