Gar Yahi Hai Aadat-e-takrar Hanste Bolte

gar yahi hai aadat-e-takrar hanste bolte

munh ki ek din khaenge aghyar hanste bolte

thi tamanna bagh-e-alam mein gul o bulbul ki tarah

baiTh kar hum tum kahin ai yar hanste bolte

meri qismat se zaban-e-tir bhi goya nahin

warna kya kya zaKHm-e-daman-dar hanste bolte

dil-lagi mein hasrat-e-dil kuchh nikal jati to hai

bose le lete hain hum do-chaar hanste bolte

aaj uzr-e-ittiqa 'taslim' kal tak yar se

aap ko dekha sar-e-bazar hanste bolte

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Yahi Hai Aadat-e-takrar Hanste Bolte In English By Famous Poet Amirullah Tasleem. Gar Yahi Hai Aadat-e-takrar Hanste Bolte is written by Amirullah Tasleem. Read famous Poem Gar Yahi Hai Aadat-e-takrar Hanste Bolte for youth and Student by Amirullah Tasleem. Free Download Gar Yahi Hai Aadat-e-takrar Hanste Bolte in PDF.