Chaarasaz-e-zaKHm-e-dil Waqt-e-rafu Rone Laga
chaarasaz-e-zaKHm-e-dil waqt-e-rafu rone laga
ji bhar aaya dida-e-sozan lahu rone laga
bas ki thi rone ki aadat wasl mein bhi yar se
kah ke apna aap haal-e-arzu rone laga
KHanda-e-zaKHm-e-jigar ne dil dukhaya aur bhi
jis ghaDi TuTa koi tar-e-rafu rone laga
sadma-e-be-rahmi-e-saqi na uTTha bazm mein
ji bhar aaya dekh kar KHali subu rone laga
tha adam mein khinch laya aab-o-dana jab yahan
dekh kar bechaargi se chaar su rone laga
aa gaya kabe mein jab mehrab-e-abru ka KHayal
baiTh kar 'taslim'-e-KHasta qibla-ru rone laga
(829) Peoples Rate This