KHwab Jo Bikhar Gae

jinhen sahar nigal gai, wo KHwab DhunDhta hun main

kahan gai wo nind ki, sharab DhunDhta hun main

mujhe namak ki kan mein miThas ki talash hai

barahnagi ke shahr mein libas ki talash hai

wo barf-bariyan huin ki pyas KHud hi bujh gai

main sagharon ko kya karun ki pyas ki talash hai

ghira hua hai abr mahtab DhunDhta hun main

jinhen sahar nigal gai, wo KHwab DhunDhta hun main

kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main

jo ruk sake to rok do ye sail rang-o-nur ka

meri nazar ko chahiye wahi charagh dur ka

khaTak rahi hai har kiran nazar mein KHar ki tarah

chhupa diya hai tabishon ne aaina shuur ka

nigah-e-shauq jal uThi hijab DhunDhta hun main

jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main

kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main

ye dhup zard zard si ye chandni dhuan dhuan

ye talaten bujhi bujhi, ye dagh dagh kahkashan

ye surKH surKH phul hain ki zaKHm hain bahaar ke

ye os ki phuwar hain, ki ro raha hai aasman

dil o nazar ke motiyon ki aab DhunDhta hun main

jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main

kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main

ye talKH talKH rahaten, jarahaten liye hue

ye KHun-chakan latafaten kasafaten liye hue

ye tar tar pairahan urusa-e-bahaar ka

ye KHanda-zan sadaqaten qayamaten liye hue

zamin ki tahon mein aaftab DhunDhta hun main

jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main

kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main

jo marhalon mein sath the wo manzilon pe chhuT gae

jo raat mein luTe na the wo dopahar mein luT gae

magan tha main ki pyar ke bahut se git gaunga

zaban gung ho gai, gale mein git ghuT gae

kaTi hui hain ungliyan rubab DhunDhta hun main

jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main

kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main

ye kitne phul TuT kar bikhar gae ye kya hua

ye kitne phul shaKHchon pe mar gae ye kya hua

baDhi jo tez raushni chamak uThi rawish rawish

magar lahu ke dagh bhi ubhar gae ye kya hua

inhen chhupaun kis tarah naqab DhunDhta hun main

jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main

kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main

KHusha wo daur-e-be-KHudi ki justuju-e-yar thi

jo dard mein surur tha to be-kali qarar thi

kisi ne zahr-e-gham diya to muskura ke pi gae

taDap mein bhi sukun na tha, KHalish bhi sazgar thi

hayat-e-shauq ka wahi sarab DhunDhta hun main

jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main

kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main

KHulus-e-be-shuur ki wo zud-etabariyan

wo shauq-e-sada-lauh ki hasin KHam-kariyan

nai sahar ke KHal-o-KHad, nigah mein base hue

KHayal hi KHayal mein, wo hashiya-nigariyan

jo de gaya fareb wo, shabab DhunDhta hun main

jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main

kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main

wo lal o lab ke tazkire, wo zulf o ruKH ke zamzame

wo karobar-e-arzu wo walwale, wo hamhame

dil o nazar ki jaan tha wo daur jo guzar gaya

na ab kisi se dil lage na ab kahin nazar jame

samand-e-waqt ja chuka rikab DhunDhta hun main

jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main

kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main

na ishq ba-adab raha, na husn mein haya rahi

hawas ki dhum-dham hai, nagar nagar, gali gali

qadam qadam khule hue hain makr-o-fan ke madrase

magar ye meri sadgi to dekhiye ki aaj bhi

wafa ki dars-gahon ka nisab DhunDhta hun main

jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main

kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun mein

bahut dinon mein rasta harim-e-naz ka mila

magar harim-e-naz tak pahunch gae to kya mila

mere safar ke sathiyo! tumhin se puchhta hun main

batao kya sanam mile, batao kya KHuda mila

jawab chahiye mujhe jawab DhunDhta hun main

jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main

kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main

(7634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Jo Bikhar Gae In English By Famous Poet Amir Usmani. KHwab Jo Bikhar Gae is written by Amir Usmani. Read famous Poem KHwab Jo Bikhar Gae for youth and Student by Amir Usmani. Free Download KHwab Jo Bikhar Gae in PDF.