Iltija
tum ruTh chuke dil TuT chuka ab yaad na aao rahne do
is mahfil-e-gham mein aane ki zahmat na uThao rahne do
ye sach ki suhane mazi ke lamhon ko bhulana khel nahin
ye sach ki bhaDakte shoalon se daman ko bachana khel nahin
riste hue dil ke zaKHmon ko duniya se chhupana khel nahin
auraq-e-nazar se jalwon ki tahrir miTana khel nahin
lekin ye mohabbat ke naghme is waqt na gao rahne do
jo aag dabi hai sine mein honTon pe na lao rahne do
jari hain watan ki rahon mein har samt lahu ke fawware
dukh-dard ki choTen kha kha kar larzan hain dilon ke gahware
angusht ba-lab hain shams o qamar hairan o pareshan hain tare
hain baad-e-sahar ke jhonke bhi tufan-e-musalsal ke dhaare
ab fursat-e-naw-nosh kahan ab yaad na aao rahne do
tufan mein rahne walon ko ghafil na banao rahne do
mana ki mohabbat ki KHatir hum tum ne qasam bhi khai thi
ye amn-o-sukun se dur faza paigham-e-sukun bhi lai thi
wo daur bhi tha jab duniya ki har shai pe jawani chhai thi
KHwabon ki nashili bad-masti masum dilon par chhai thi
lekin wo zamana dur gaya ab yaad na aao rahne do
jis rah pe jaana lazim hai us se na haTao rahne do
ab waqt nahin un naghmon ka jo KHwabon ko bedar karen
ab waqt hai aise naron ka jo soton ko hoshyar karen
duniya ko zarurat hai un ki jo talwaron ko pyar karen
jo qaum o watan ke qadmon par qurbani den isar karen
rudad-e-mohabbat phir kahna ab man bhi jao rahne do
jadu na jagao rahne do fitne na uThao rahne do
main zahr-e-haqiqat ki talKHi KHwabon mein chhupaunga kab tak
ghurbat ke dahakte shoalon se daman ko bachaunga kab tak
aashob-e-jahan ki dewi se yun aankh churanunga kab tak
jis farz ko pura karna hai wo farz bhulaunga kab tak
ab tab nahin nazzare ki jalwe na dikhao rahne do
KHurshid-e-mohabbat ke ruKH se parde na uThao rahne do
mumkin hai zamana ruKH badle ye daur-e-halakat miT jae
ye zulm ki duniya karwaT le ye ahd-e-zalalat miT jae
daulat ke farebi bandon ka ye kibr aur naKHwat miT jae
barbaad watan ke mahlon se ghairon ki hukumat miT jae
us waqt ba-nam-e-ahd-e-wafa main KHud bhi tumhein yaad aaunga
munh moD ke sari duniya se ulfat ka sabaq duhraunga
(25953) Peoples Rate This