Thi Siyahiyon Ka Maskan Meri Zindagi Ki Wadi

thi siyahiyon ka maskan meri zindagi ki wadi

tere husn ke tasadduq mujhe raushni dikha di

tera gham sama gaya hai mere dil ki dhaDkanon mein

koi aish jab bhi aaya mere dil ne bad-dua di

jo zara bhi nind aai kabhi ahl-e-karwan ko

wahi ban gae luTere jo bane hue the hadi

wo kabhi na ban saki hai wo kabhi na ban sakegi

kisi dil ki jo imarat teri be-ruKHi ne Dha di

ye kabhi kabhi inayat hai ba-manzil-e-siyasat

ki jafaen sahne wala kahin ho na jae aadi

hamein aaKHirat mein 'amir' wahi umr kaam aai

jise kah rahi thi duniya gham-e-ishq mein ganwa di

(4523) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thi Siyahiyon Ka Maskan Meri Zindagi Ki Wadi In English By Famous Poet Amir Usmani. Thi Siyahiyon Ka Maskan Meri Zindagi Ki Wadi is written by Amir Usmani. Read famous Poem Thi Siyahiyon Ka Maskan Meri Zindagi Ki Wadi for youth and Student by Amir Usmani. Free Download Thi Siyahiyon Ka Maskan Meri Zindagi Ki Wadi in PDF.