Na Sakat Hai Zabt-e-gham Ki Na Majal-e-ashk-bari

na sakat hai zabt-e-gham ki na majal-e-ashk-bari

ye ajib kaifiyat hai na sukun na be-qarari

tera ek hi sitam hai tere har karam pe bhaari

gham-e-do-jahan se de di mujhe tu ne rustagari

meri zindagi ka hasil tere gham ki pasdari

tere gham ki aabru hai mujhe har KHushi se pyari

ye qadam qadam balaen ye sawad-e-ku-e-jaanan

wo yahin se lauT jae jise zindagi ho pyari

tere jaan-nawaz wade mujhe kya fareb dete

tere kaam aa gai hai meri zud-e'tibari

meri raat muntazir hai kisi aur subh-e-nau ki

ye sahar tujhe mubarak jo hai zulmaton ki mari

(5058) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Sakat Hai Zabt-e-gham Ki Na Majal-e-ashk-bari In English By Famous Poet Amir Usmani. Na Sakat Hai Zabt-e-gham Ki Na Majal-e-ashk-bari is written by Amir Usmani. Read famous Poem Na Sakat Hai Zabt-e-gham Ki Na Majal-e-ashk-bari for youth and Student by Amir Usmani. Free Download Na Sakat Hai Zabt-e-gham Ki Na Majal-e-ashk-bari in PDF.