Haqir KHak Ke Zarre The Aasman Hue
haqir KHak ke zarre the aasman hue
wo log jo dar-e-jaanan ke pasban hue
shuda-shuda wahi gulshan ke hukmaran hue
jo KHar pi ke gulon ka lahu jawan hue
hum aise ahl-e-junun par hanse na kyun duniya
ki sar kaTa ke samajhte hain kaamran hue
ye kam nahin ki bujhai hai pyas kanTon ki
bala se rah-e-wafa mein lahuluhan hue
gulon ne aabla-pai ki koi dad na di
chaman mein KHar hi chhaalon ke mezban hue
kiya jo bhul ke dil ne KHayal-e-tark-e-wafa
hum apne aap se kya kya na bad-guman hue
(1342) Peoples Rate This