Gham-e-behad Mein Kis Ko Zabt Ka Maqdur Hota Hai

gham-e-behad mein kis ko zabt ka maqdur hota hai

chhalak jata hai paimana agar bharpur hota hai

kabhi aisa bhi hota hai ki dil ranjur hota hai

magar insan hansne ke liye majbur hota hai

faza-e-zindagi ki zulmaton ke marsiya-KHwano

andheron hi ke dam se imtiyaz-e-nur hota hai

nahin ye marhala ai dost har bismil ki qismat mein

bahut mushkil se koi zaKHm-e-dil nasur hota hai

ye sai-e-zabt-e-gham aankhon mein aansu rokne wale

safinon mein kahin tufan bhi mastur hota hai

(1337) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-behad Mein Kis Ko Zabt Ka Maqdur Hota Hai In English By Famous Poet Amir Usmani. Gham-e-behad Mein Kis Ko Zabt Ka Maqdur Hota Hai is written by Amir Usmani. Read famous Poem Gham-e-behad Mein Kis Ko Zabt Ka Maqdur Hota Hai for youth and Student by Amir Usmani. Free Download Gham-e-behad Mein Kis Ko Zabt Ka Maqdur Hota Hai in PDF.