Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_97bf3ed54237bf05950fc85c57c174b5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dard BaDhta Gaya Jitne Darman Kiye Pyas BaDhti Gai Jitne Aansu Piye - Amir Usmani Poetry In English - Darsaal

Dard BaDhta Gaya Jitne Darman Kiye Pyas BaDhti Gai Jitne Aansu Piye

dard baDhta gaya jitne darman kiye pyas baDhti gai jitne aansu piye

aur jab daman-e-zabt chhuTne laga hum ne KHwabon ke jhuTe sahaare liye

ishq baDhta raha su-e-dar-o-rasan zaKHm khata hua muskuraata hua

rasta rokte rokte thak gae zindagi ke badalte hue zawiye

gum hui jab andheron mein rah-e-wafa hum ne sham-e-junun se ujala kiya

jab na pai koi shakl-e-baKHiya-gari hum ne kanTon se zaKHmon ke munh si liye

us ke wadon se itna to sabit hua us ko thoDa sa pas-e-talluq to hai

ye alag baat hai wo hai wada-shikan ye bhi kuchh kam nahin us ne wade kiye

KHatm hone ko hai qissa-e-zindagi ab hamein aap se koi shikwa nahin

Tal na jae kahin maut aai hui pursish-e-gham ki zahmat na farmaiye

jab hijabon mein pinhan tha husn-e-butan but-parasti ka bhi ek meyar tha

ab to har moD par but hi but jalwagar ab kahan tak buton ko KHuda maniye

kitne arbab-e-himmat ne un ke liye baDh ke maidan mein jaan bhi haar di

ab bhi un ki nigahon mein hai bad-zani ab bhi un ko wafa ki sanad chahiye

jis ne luTa tha us ko salami mili hum luTe hum ko mulzim bataya gaya

mast aankhon pe ilzam aaya nahin hum pe lagti rahin tohmaten bin piye

jis ne 'amir' mata-e-KHudi bech di sach ye hai ismat-e-zindagi bech di

sar jhukane se behtar hai sar dijiye bhik lene se behtar hai mar jaiye

(4908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard BaDhta Gaya Jitne Darman Kiye Pyas BaDhti Gai Jitne Aansu Piye In English By Famous Poet Amir Usmani. Dard BaDhta Gaya Jitne Darman Kiye Pyas BaDhti Gai Jitne Aansu Piye is written by Amir Usmani. Read famous Poem Dard BaDhta Gaya Jitne Darman Kiye Pyas BaDhti Gai Jitne Aansu Piye for youth and Student by Amir Usmani. Free Download Dard BaDhta Gaya Jitne Darman Kiye Pyas BaDhti Gai Jitne Aansu Piye in PDF.