Mujhko KHamoshi-e-haalat Se Dar Lagta Hai
mujh ko KHamoshi-e-haalat se Dar lagta hai
ye mujhe daur-e-siyasat ka asar lagta hai
be-amal main tha magar rab ne mujhe baKHsh diya
ye meri man ki duaon ka asar lagta hai
jab se wo dur hua hai meri in aankhon se
dil mera dil nahin ujDa sa nagar lagta hai
jab se dekha hai tujhe khoya hua rahta hun
ye teri shoKH nigahon ka asar lagta hai
har taraf dard hai tariki udasi hai bahut
kis qadar saKHt ye sanson ka safar lagta hai
har ghaDi dard ke paiwand lage jate hain
ye mujhe mere gunahon ka asar lagta hai
ek naqsh aisa banaya hai teri yaadon ne
zehan se ruh talak tera hi ghar lagta hai
(1138) Peoples Rate This