Kuchh Sulagte Hue KHwabon Ki Farawani Hai
kuchh sulagte hue KHwabon ki farawani hai
shahr-e-ehsas mein aainda ki tabani hai
saat-e-sham ka darwaza pighal jaega
chashm-e-umnid mein wo shola-e-imkani hai
jism par apne bhi poshak sambhaale rakhiye
sina-e-dasht pe utri shab-e-uryani hai
kab talak TuTti sanson pe sadaen rakhun
halqa-e-zist ki zanjir bhi layani hai
ab kahan ja ke ye zardab nazar Thahregi
dur tak phaili hui sarhad-e-virani hai
lauh-e-be-rang pe to aks-e-KHudi raushan hai
paikar-e-KHak ke chehre pe pareshani hai
tar-ba-tar ho gae haalat ke chehre 'amir'
ahl-e-daman-e-KHirad par baDi hairani hai
(1054) Peoples Rate This