Khula Hai Tere Badan Ka Bhi Istiara Kuchh
khula hai tere badan ka bhi istiara kuchh
bayan-e-harf-o-nawa pairahan tumhaara kuchh
ghubar-e-gard mein gum tha sahar ka minara
shafaq ke sath hua phir bhi aashkara kuchh
tilsim-e-shab ki fasilon ko toD Dalega
sutun-e-waqt pe bujhta hua sitara kuchh
sukut-e-sham ka manzar badalne wala hai
meri nigah ka hai aks para para kuchh
nishan-e-zist abhi kaise raushni pae
ki tirgi ka muqaddar mein hai ijara kuchh
KHabar thi shisha-e-hairan pe baal aaega
junun ke darmiyan chehre ko yun utara kuchh
yaqin ke baam se 'amir' dikhai deta hai
guman ki rakh mein poshida hai sharara kuchh
(1024) Peoples Rate This