KHamoshiyon Ko Aalam-e-aswat Par Kabhi
KHamoshiyon ko aalam-e-aswat par kabhi
phenka gaya tha shor-e-hikayat par kabhi
kyun mere iKHtiyar se bahar nikal gain
aankhen thin apni aks-e-mazafat par kabhi
aur us ke baad did ka manzar simaT gaya
zahir hua tha shoala KHarabaat par kabhi
tu meri dastaras mein rahega yaqin hai
duniya nahin sahi to samawat par kabhi
aks-e-KHudi ka jama pahan kar nikal gaya
ubhra jo naqsh ru-e-KHayalat par kabhi
'amir' ab intishaar ki parchhaiyan tamam
tha lamha-e-sukun makanat par kabhi
(781) Peoples Rate This