Jo Bhi Kuchh Taq-e-KHayalat Pe Rah Jate Hain
jo bhi kuchh taq-e-KHayalat pe rah jate hain
zist ke KHeme usi baat pe rah jate hain
sham-e-saat ne bahut aks tarasha lekin
kuchh hayule dar-e-zulmat pe rah jate hain
dil ne to lashkar-e-shadab sambhaala hai magar
KHar-o-KHas phir bhi makanat pe rah jate hain
tishnagi aisi ki dariya ka lahu pi kar bhi
sabr ke qarz mukafat pe rah jate hain
raqs-e-nahid sar-e-shaKH tamasha na hua
aaine hosh ke jab hath pe rah jate hain
kab talak sina-e-sad-chaak ka matam hoga
sab ruke tesha-e-haalat pe rah jate hain
kaise tariKH bane koi hikayat 'amir'
hashiye aaj bhi safhat pe rah jate hain
(916) Peoples Rate This