Fishaar-e-tirah-shabi Se Sahar Nikal Aae
fishaar-e-tirah-shabi se sahar nikal aae
siyah ret pe koi shajar nikal aae
main apni zat ki diwar par hun mahw-e-qalam
bhale hi surat-e-mehrab-o-dar nikal aae
shikasta KHwab ke reze zamin-e-wahshat se
barahnagi ki qaba oDh kar nikal aae
mere guman ke dipak na jal sake shab-bhar
pas-e-yaqin jo jale beshtar nikal aae
nigah-e-shisha-e-hasrat mein qaid ho jate
ye aur baat ki hum waqt par nikal aae
main sang-e-yas pe tahrir kar raha tha kuchh
ki lafz chand baDe mo'atabar nikal aae
siyah raat ki taswir par shikan se abhi
ajab nahin hai ki 'amir' nazar nikal aae
(811) Peoples Rate This