Ek Ek Tar-e-nafas Aashufta-e-ahang Tha
ek ek tar-e-nafas aashufta-e-ahang tha
ab ki bazar-e-dar-o-diwar ka kya rang tha
paikar-e-KHashak ki dida-wari pighli kahan
Dubte suraj ka daman KHwab-gah-e-sang tha
kab talak poshida rahti hasrat-e-shahr-e-talab
waqt ki diwar par aaina-e-nairang tha
ahd-e-rafta ki bahut koshish rahi ho sulh phir
lamha-e-betab aamada bara-e-jang tha
pattharon ne is tarah ki zaKHm ki chaaragari
dekh kar diwar wahshat ka bhi chehra dang tha
ek din oDhi thi dil ne aahani chadar kabhi
ab talak 'amir' mere gham par nishan-e-zang tha
(764) Peoples Rate This