Etibar-e-shauq Ek Dhoka Sahi
e'tibar-e-shauq ek dhoka sahi
e'tibar-e-shauq par hai zindagi
suni yaado tum se pahlu hai basa
suni yaado tum se kya pahlu-tahi
dil hua chhalni to naghme chhan paDe
bans mein rauzan paDe to bansuri
be-kasi mein bhi baDa kas-bal hai dost
maut kya hai zist ko Thukra ke ji
hum KHuda bhi man lenge aap ko
aap pahle ho to jaen aadmi
kya yad-e-baiza se kam hai dagh-e-dil
moajaza rakhta hun 'amir'-muswi
(644) Peoples Rate This