Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_93e2fc501fd0d9e707ee573948b7cd9a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Teri Inayaton Ka Ajab Rang Dhang Tha - Amir Hamza Saqib Poetry In English - Darsaal

Teri Inayaton Ka Ajab Rang Dhang Tha

teri inayaton ka ajab rang Dhang tha

tere huzur pa-e-qanaat mein lang tha

sahra ko raundne ki hawas pa-ba-gil hai ab

yun tha kabhi ki daman-e-afaq tang tha

daman ko tere tham ke rahat baDi mili

ab tak main apne aap se masruf-e-jang tha

hangam-e-yaad dil mein na aahaT na dastaken

shorish-kade mein raat KHamoshi ka rang tha

tu aaya lauT aaya hai guzre dinon ka nur

chehron pe apne warna to barson ka zang tha

raqs-e-junun mein bhi tha tariq-e-hunar ka Dhab

sufi-e-ba-safa tha koi ya malang tha

kya aasman uThate mohabbat mein jab ki dil

tar-e-nigah mein uljhi hui ek patang tha

(917) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Inayaton Ka Ajab Rang Dhang Tha In English By Famous Poet Amir Hamza Saqib. Teri Inayaton Ka Ajab Rang Dhang Tha is written by Amir Hamza Saqib. Read famous Poem Teri Inayaton Ka Ajab Rang Dhang Tha for youth and Student by Amir Hamza Saqib. Free Download Teri Inayaton Ka Ajab Rang Dhang Tha in PDF.