Tere KHayal Ke Jab Shamiyane Lagte Hain
tere KHayal ke jab shamiyane lagte hain
suKHan ke panw mere laDkhaDane lagte hain
jo ek dast-e-burida sawad-e-shauq mein hai
alam uThae hue us ke shane lagte hain
main dasht-e-hu ki taraf jab uDan bharta hun
teri sada ke shajar phir bulane lagte hain
KHabar bhi hai tujhe is daftar-e-mohabbat ko
jalane jalne mein kya kya zamane lagte hain
ye gard hai meri aankhon mein kin zamanon ki
nae libas bhi ab to purane lagte hain
tumhaare mewa-e-lab ko nigah se chhute hi
ajib lazzat-e-nayab pane lagte hain
jo sansanata hai kufa o nainwa ka KHayal
gulu-e-jaan ki taraf tir aane lagte hain
(1032) Peoples Rate This