Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_70d8be1652e9353430dd1b43234f9be5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nizam-e-bast-o-kushad-e-mani Sanwarte Hain - Amir Hamza Saqib Poetry In English - Darsaal

Nizam-e-bast-o-kushad-e-mani Sanwarte Hain

nizam-e-bast-o-kushad-e-mani sanwarte hain

hum apne sheron mein tera paikar utarte hain

ajab tilismi fiza hai sari balaen chup hain

ye kis bayaban mein raat din hum guzarte hain

ghubar-e-duniya mein gum hai jab se sawar-e-wahshat

atash atash dasht o koh o dariya pukarte hain

musafiran-e-guman rahen kyun kamar-KHamida

chalo ye pushtara-e-tamanna utarte hain

jabin-e-ahl-e-gharaz pe koi mukalima kya

jahan tahan hajaton ki jholi pasarte hain

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nizam-e-bast-o-kushad-e-mani Sanwarte Hain In English By Famous Poet Amir Hamza Saqib. Nizam-e-bast-o-kushad-e-mani Sanwarte Hain is written by Amir Hamza Saqib. Read famous Poem Nizam-e-bast-o-kushad-e-mani Sanwarte Hain for youth and Student by Amir Hamza Saqib. Free Download Nizam-e-bast-o-kushad-e-mani Sanwarte Hain in PDF.