Na To Be-karani-e-dil Rahi Na To Madd-o-jazr-e-talab Raha
na to be-karani-e-dil rahi na to madd-o-jazr-e-talab raha
tere baad bahr-e-KHayal mein na KHarosh uTha na ghazab raha
mere samne se guzar gaya wo ghazal dasht-e-murad ka
main khaDa raha yunhi be-sada mujhe pas-e-had-e-adab raha
use jaan-guzaron se kya shaghaf use KHaksaron se kya sharaf
wo fazilaton ke dayar mein ba-huzur pa-e-nasab raha
wahi baiat-e-gham-e-hijr thi wahi kashf-e-hujra-e-wasl tha
main murid-e-halqa-e-KHwab tha so qarin-e-murshid-e-lab raha
teri mamlikat ke nisab par koi tabsira bhi kare to kya
wahi raushni ka safir hai jo asir-e-zulmat-e-shab raha
(914) Peoples Rate This