Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c402a5c458d0e3509636f1628d5da331, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHush-amdid Kahta Gulon Ka Jahan Tha - Amir Hamza Saqib Poetry In English - Darsaal

KHush-amdid Kahta Gulon Ka Jahan Tha

KHush-amdid kahta gulon ka jahan tha

ek dasht-e-be-aman magar darmiyan tha

meri barhana pusht thi koDon se sabz o surKH

gore badan pe us ke bhi nila nishan tha

kis KHema-e-malal mein raaten basar huin

kis gham-kade pe mehrban na-mehrban tha

raushan alao hote hi aaya tarang mein

wo qissa-go KHud apne mein ek dastan tha

is samt girya-zari o kafur ki mahak

us samt KHush-libasi thi aur itr-dan tha

(1135) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHush-amdid Kahta Gulon Ka Jahan Tha In English By Famous Poet Amir Hamza Saqib. KHush-amdid Kahta Gulon Ka Jahan Tha is written by Amir Hamza Saqib. Read famous Poem KHush-amdid Kahta Gulon Ka Jahan Tha for youth and Student by Amir Hamza Saqib. Free Download KHush-amdid Kahta Gulon Ka Jahan Tha in PDF.