Gard-baad-e-sharar Hain Hum Log

gard-baad-e-sharar hain hum log

kis ke ji ka ghubar hain hum log

aa ki hasil ho naz-e-izz-o-sharaf

aa teri rahguzar hain hum log

be-kajawa hai naqa-e-duniya

aur zaKHmi sawar hain hum log

jabr ke bab mein farozan hain

hasil-e-iKHtiyar hain hum log

phir badan mein thakan ki gard liye

phir lab-e-ju-e-bar hain hum log

baad-e-sarsar kabhi to baad-e-sumum

mauja-e-KHaksar hain hum log

chashm-e-nargis magar alil bhi hai

kis liye be-kanar hain hum log

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gard-baad-e-sharar Hain Hum Log In English By Famous Poet Amir Hamza Saqib. Gard-baad-e-sharar Hain Hum Log is written by Amir Hamza Saqib. Read famous Poem Gard-baad-e-sharar Hain Hum Log for youth and Student by Amir Hamza Saqib. Free Download Gard-baad-e-sharar Hain Hum Log in PDF.