Dasht-e-bala-e-shauq Mein KHeme Lagae Hain
dasht-e-bala-e-shauq mein KHeme lagae hain
ibn-e-ziyaad-e-waqt se kah do hum aae hain
ek kahkashan hi tanha nahin wajh-e-dil-kashi
aanchal pe tere hum ne bhi moti luTae hain
tah kar chuke bisat-e-gham-o-fikr-e-rozgar
tab KHanqah-e-ishq-o-mohabbat mein aae hain
tum hi nahin ilaj-e-mohabbat se be-niyaz
hum ne bhi ehtiyat ke purze uDae hain
lagta yahi hai nur ke rath par sawar hun
aankhon ne teri mujh ko wo raste sujhae hain
wahshat-sara-e-dahr mein bhi shad-kaam hain
'saqib' ye log kaun se jangal se aae hain
(966) Peoples Rate This