Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5d67c8ca4d153679a6bf8784f5b295c4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai - Amir Hamza Saqib Poetry In English - Darsaal

Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai

badan ke luqma-e-tar ko haram kar liya hai

ki KHwan-e-ruh pe jab se taam kar liya hai

batao uDti hai bazar-e-jaan mein KHak bahut

batao kya hamein apna ghulam kar liya hai

ye aastana-e-hasrat hai hum bhi jaante hain

diya jala diya hai aur salam kar liya hai

makan ujaD tha aur la-makan ki KHwahish thi

so apne aap se bahar qayam kar liya hai

bas ab tamam ho ye wahm o e'tibar ka khel

bisat ulaT di sabhi sara kaam kar liya hai

kisi se KHwahish-e-guftar thi magar 'saqib'

wufur-e-shauq mein KHud se kalam kar liya hai

(856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai In English By Famous Poet Amir Hamza Saqib. Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai is written by Amir Hamza Saqib. Read famous Poem Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai for youth and Student by Amir Hamza Saqib. Free Download Badan Ke Luqma-e-tar Ko Haram Kar Liya Hai in PDF.