Tujhko Apna Ke Bhi Apna Nahin Hone Dena

tujh ko apna ke bhi apna nahin hone dena

zaKHm-e-dil ko kabhi achchha nahin hone dena

main to dushman ko bhi mushkil mein kumak bhejunga

itni jaldi use paspa nahin hone dena

tu ne mera nahin hona hai to phir yaad rahe

main ne tujh ko bhi kisi ka nahin hone dena

tu ne kitnon ko nachaya hai ishaaron pe magar

main ne ai ishq! ye mujra nahin hone dena

us ne khai hai qasam phir se mujhe bhulne ki

main ne is bar bhi aisa nahin hone dena

zindagi mein to tujhe chhoD hi deta lekin

phir ye socha tujhe bewa nahin hone dena

mazhab-e-ishq koi chhoD mare to main ne

aise murtad ka janaza nahin hone dena

(5317) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhko Apna Ke Bhi Apna Nahin Hone Dena In English By Famous Poet Amir Ameer. Tujhko Apna Ke Bhi Apna Nahin Hone Dena is written by Amir Ameer. Read famous Poem Tujhko Apna Ke Bhi Apna Nahin Hone Dena for youth and Student by Amir Ameer. Free Download Tujhko Apna Ke Bhi Apna Nahin Hone Dena in PDF.