Subh-e-raushan Ko Andheron Se Bhari Sham Na De
subh-e-raushan ko andheron se bhari sham na de
dil ke rishte ko meri jaan koi nam na de
moD aate hi mujhe chhoD ke jaane wale
phir se tanhaiyan be-chainiyan kohram na de
mujh ko mat bandh wafadari ki zanjiron mein
main ki baadal hun bhaTak jaane ka ilzam na de
mutmain donon hain main aur meri tarz-e-hayat
tishnagi mere muafiq hai koi jam na de
aasman dene ka ai dost dikhawa mat kar
mujh ko uDne ki ijazat tu tah-e-dam na de
han nibhae hain mohabbat ke faraez main ne
mustahiq bhi hun magar koi bhi inam na de
dil ke afsane ka aaghaz hasin hai 'mita'
silsila yunhi chale koi bhi anjam na de
(754) Peoples Rate This