Shiddat-e-shauq Se Afsane To Ho Jate Hain
shiddat-e-shauq se afsane to ho jate hain
phir na jaane wahi aashiq kahan kho jate hain
mujh se irshad ye hota hai ki samjhun un ko
aur phir bhiD mein duniya ki wo kho jate hain
dard jab zabt ki har had se guzar jata hai
KHwab tanhai ke aaghosh mein so jate hain
bas yunhi kahte hain wo mere hain mere honge
aur ek pal mein kisi aur ke ho jate hain
hum to paband-e-wafa pahle bhi the aaj bhi hain
aap hi fasle le aae to lo jate hain
koi tadbir na taqdir se lena-dena
bas yunhi faisle jo hone hain ho jate hain
kuchh to ehsas-e-mohabbat se huin nam aankhen
kuchh teri yaad ke baadal bhi bhigo jate hain
(952) Peoples Rate This