Raqib-e-jaan Nazar Ka Nur Ho Jae To Kya Kije
raqib-e-jaan nazar ka nur ho jae to kya kije
ziyan dil ko agar manzur ho jae to kya kije
wafa karne se wo majbur ho jae to kya kije
mohabbat ruh ka nasur ho jae to kya kije
wahi charche wahi qisse mili ruswaiyan hum ko
unhi qisson se wo mashhur ho jae to kya kije
zamane se gila kaisa jab apne jism ka saya
andhere mein hamin se dur ho jae to kya kije
KHuda ko itna chahun to KHuda ho jaega raazi
magar wo aur bhi maghrur ho jae to kya kije
munawwar jis ke dam se thin hamari zindagi 'mita'
wahi mahtab gar mastur ho jae to kya kije
(854) Peoples Rate This