Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7df0c0e266f7247faa38e5a7dcaeb67d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Haya Girti Hui Diwar Thi Kal Shab Jahan Main Tha - Ameerul Islam Hashmi Poetry In English - Darsaal

Haya Girti Hui Diwar Thi Kal Shab Jahan Main Tha

haya girti hui diwar thi kal shab jahan main tha

nazar uThna bahut dushwar thi kal shab jahan main tha

jinhen saDi mein aana tha wo patlunon mein aain thin

tamiz-e-mard-o-zan dushwar thi kal shab jahan main tha

nazar ke kofte ruKH ke paraThe wasl ke sharbat

mukammal dawat-e-didar thi kal shab jahan main tha

zuleKHaen ba-zid thin ek yusuf ke liye yaro

baDi hi garmi-e-bazar thi kal shab jahan main tha

plus-sewen ka chashma fiT kiye the dida-war sare

nazar apni bhi numbar-dar thi kal shab jahan main tha

thirakne nachne Thumke lagane ke the sab mahir

saqafat bar-sar-e-paikar thi kal shab jahan main tha

kisi farhad ko hajat na thi tesha uThane ki

har ek shirin-bayan talwar thi kal shab jahan main tha

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haya Girti Hui Diwar Thi Kal Shab Jahan Main Tha In English By Famous Poet Ameerul Islam Hashmi. Haya Girti Hui Diwar Thi Kal Shab Jahan Main Tha is written by Ameerul Islam Hashmi. Read famous Poem Haya Girti Hui Diwar Thi Kal Shab Jahan Main Tha for youth and Student by Ameerul Islam Hashmi. Free Download Haya Girti Hui Diwar Thi Kal Shab Jahan Main Tha in PDF.