Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3338c07f794edae51bac20289e464e7e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zaban Hai Magar Be-zabanon Mein Hai - Ameer Qazalbash Poetry In English - Darsaal

Zaban Hai Magar Be-zabanon Mein Hai

zaban hai magar be-zabanon mein hai

nasihat koi us ke kanon mein hai

chalo sahilon ki taraf ruKH karen

abhi to hawa baadbanon mein hai

zamin par ho apni hifazat karo

KHuda to miyan aasmanon mein hai

na jaane ye ehsas kyun hai mujhe

wo ab tak mere pasbanon mein hai

saja to liye hum ne diwar-o-dar

udasi abhi tak makanon mein hai

hawa ruKH badalti rahe bhi to kya

parinda to apni uDanon mein hai

(829) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Zaban Hai Magar Be-zabanon Mein Hai In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Zaban Hai Magar Be-zabanon Mein Hai is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Zaban Hai Magar Be-zabanon Mein Hai for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Zaban Hai Magar Be-zabanon Mein Hai in PDF.