Wo Ek Lafz Jo Be-sada Jaega
wo ek lafz jo be-sada jaega
wahi muddaton tak suna jaega
koi hai jo mere taaqub mein hai
mujhe mera chehra dikha jaega
wo ek shaKHs jo dushman-e-jaan sahi
magar phir bhi apna kaha jaega
jalegi koi mishal-e-jaan abhi
magar phir andhera sa chha jaega
nafi-e-jurat-e-haq-numai sahi
magar kab kisi se kaha jaega
yahan ek shajar muntazir sa bhi hai
ab aaKHir kahan tak chala jaega
main wo mishal-e-nim-shab hun 'amir'
jise kal ka suraj bujha jaega
(773) Peoples Rate This