Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9b96508407e979a8816b9d89f189abfe, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Unki Be-ruKHi Mein Bhi Iltifat Shamil Hai - Ameer Qazalbash Poetry In English - Darsaal

Unki Be-ruKHi Mein Bhi Iltifat Shamil Hai

un ki be-ruKHi mein bhi iltifat shamil hai

aaj kal meri haalat dekhne ke qabil hai

qatl ho to mera sa maut ho to meri si

mere sogwaron mein aaj mera qatil hai

har qadam pe nakaami har qadam pe mahrumi

ghaaliban koi dushman doston mein shamil hai

muztarib hain maujen kyun uTh rahe hain tufan kyun

kya kisi safine ko aarzu-e-sahil hai

sirf rahzan hi se kyun 'amir' shikwa ho

manzilon ki rahon mein rahbar bhi hail hai

(1416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Unki Be-ruKHi Mein Bhi Iltifat Shamil Hai In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Unki Be-ruKHi Mein Bhi Iltifat Shamil Hai is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Unki Be-ruKHi Mein Bhi Iltifat Shamil Hai for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Unki Be-ruKHi Mein Bhi Iltifat Shamil Hai in PDF.